نیلی جلد کی کتاب
میرے گھر میں جھونج بنائے گوریا کا جوڑا چونچ میں لے کر آئے جائے بھوسہ تھوڑا تھوڑا بھوسے میں کچھ تنکے بھی ہیں کچھ مٹیالے پر نیلے پیلے اجلے میلے بھورے کالے پر باغوں باغوں ہو کر آئے اپنا گھر نہ بھولے پہلے وہ رسی پر بیٹھے پل بھر جھولا جھولے پھر الماری میں اڑ کر جائے سیدھے اپنے کونے غالب کا دیوان چنا ہے رہنے کو ان دو نے نیلی نیلی جلد پہ جیسے پھول رکھا ہو کوئی یا کاغذ کو رات سمجھ کر چاند اگا ہو کوئی قسمت والے ٹھہرے ان کے لال گلابی پنجے اردو کا اک شاعر آیا ان کے پاؤں کے نیچے چاندی جیسے تخت پہ سو کر گزریں راتیں ان کی غالبؔ صاحب سنتے ہوں گے شاید باتیں ان کی ماضی کی بنیاد پہ رکھا ہے مستقبل سب کا آنے والے دور میں لوگو اٹکا ہے دل سب کا گوریا کے ان خوابوں کو کیسے توڑا جائے کوئی نسخہ اور منگا لیں اس کو چھوڑا جائے
English rendering
Mere ghar mein jhoñjh banāe gauriyā kā joṛā Choñch mein le kar āe jaa'e bhūsā thoṛā thoṛā Bhūse mein kuch tinke bhī hain kuch miṭṭiyāle par Nīle pīle ujle mīle bhūre kāle par Bāghoñ bāghoñ ho kar āe apnā ghar na bhūle Pehle woh rassī par baiṭhe pal bhar jhūlā jhūle Phir almārī mein uṛ kar jaa'e sīdhe apne kone Ghālib kā dīvān chunā hai rahne ko un do ne Nīlī nīlī jild pe jaise phūl rakkhā ho koī Yā kāghaz ko rāt samajh kar chāñd ugā ho koī Qismat wāle ṭhahre un ke lāl gulābī pañje Urdū kā ik shā'ir āyā un ke pā'uñ ke nīche Chāñdī jaise takht pe so kar guzrīñ rātein un kī Ghālibؔ sāhib sunte hoñge shāyad bātein un kī Māzī kī bunyād pe rakkhā hai mustaqbil sab kā Āne wāle daur mein logo aṭkā hai dil sab kā Gauriyā ke un khwāboñ ko kaise toṛā jaa'e Koi nuskha aur mangā leñ is ko chhoṛā jaa'e