پہلے ذرا محاسبۂ ذات بھی تو ہو
پہلے ذرا محاسبۂ ذات بھی تو ہو دنیا پڑی ہے گھر سے شروعات بھی تو ہو سمجھے ہیں سب انا کے دھندلکے کو روشنی شمعیں کہاں جلاؤں کہیں رات بھی تو ہو پنہاں ہے آنسوؤں میں سراغ شگفت گل صحرائے بے ضمیر میں برسات بھی تو ہو اک مسئلے کے بعد نیا مسئلہ ہے روز کچھ معتبر یہ گردش حالات بھی تو ہو چہرے سے دل کا حال پڑھیں اور رو بھی لیں جس سے ملے ہیں اس سے ملاقات بھی تو ہو مشکل نہیں ہواؤں میں جلنے لگیں چراغ شب زاد راستوں میں ترا ساتھ بھی تو ہو میں تبصرہ کروں نہ خدا کی زمین پر ٹھوکر لگے بنا گزر اوقات بھی تو ہو لمحوں کی مٹھیوں میں ہے صدیوں کی روشنی لیکن نظر میں وقت کی اوقات بھی تو ہو
English rendering
Pehle zarā muhāsiba-e-zāt bhī to ho Dunyā paṛī hai ghar se shurūāt bhī to ho Samjhe hain sab anā ke dhundlake ko raushnī Sham'eñ kahāñ jalāūñ kahīn rāt bhī to ho Pinhāñ hai āñsu'oñ mein surāgh-e-shigufta-gul Sehrā-e-be-zamīr mein barsāt bhī to ho Ik mas'ale ke ba'd nayā mas'ala hai roz Kuch mo'tabar yeh gardish-e-hālāt bhī to ho Chehre se dil kā hāl paṛhen aur ro bhī leñ Jis se mile hain us se mulāqāt bhī to ho Mushkil nahīñ havāoñ mein jalne lageñ chirāgh Shab-zād rāstoñ mein tirā sāth bhī to ho Maiñ tabṣira karūñ na Khudā kī zamīn par Ṭhokar lage binā guzar-e-auqāt bhī to ho Lamhoñ kī muṭṭhiyoñ mein hai sadiyoñ kī raushnī Lekin nazar mein waqt kī auqāt bhī to ho