یہ وہ بستی ہی نہیں
زندگی تو مجھے کس موڑ پہ لے آئی ہے خواب کھلتے تھے جہاں برف وہاں چھائی ہے سو دریچے ہیں مگر شمع کسی پر بھی نہیں چاند نکلے مری راتوں کا مقدر بھی نہیں کیا کروں کیا نہ کروں ہاتھ میں پتھر بھی نہیں شیش محلوں کو کوئی غم بھی نہیں ڈر بھی نہیں لوگ گونگے ہیں بیاباں میں اذاں کیسے ہو لوگ قاتل ہیں علاج غم جاں کیسے ہو لوگ پتھر ہیں تو احساس زیاں کیسے ہو کس کو فرصت ہے جو پوچھے کہ میاں کیسے ہو رات جب ختم ہوئی تھی تو سحر لگتی تھی روشنی راہ گزر راہ گزر لگتی تھی زندگی کوچۂ جاناں کا سفر لگتی تھی اپنی منزل کہیں جنت کے ادھر لگتی تھی کچھ بھی آنکھوں میں نہیں اشک ندامت کے سوا کچھ بھی دامن میں نہیں داغ ملامت کے سوا کچھ بھی چہرے پہ نہیں گرد مسافت کے سوا اپنی دوکان میں سب کچھ ہے محبت کے سوا
English rendering
Zindagī to mujhe kis moṛ pe le āī hai Khwāb khulte the jahāñ barf wahāñ chhāī hai Sau darīche hain magar sham'a kisī par bhī nahīñ Chāñd nikle mirī rātoñ kā muqaddar bhī nahīñ Kya karūñ kya na karūñ hāth mein patthar bhī nahīñ Shīsh mahloñ ko koi gham bhī nahīñ ḍar bhī nahīñ Log gūñge hain bayābāñ mein azān kaise ho Log qātil hain ilāj-e-gham-e-jāñ kaise ho Log patthar hain to ehsās-e-ziyāñ kaise ho Kis ko fursat hai jo pūchhe ki miyāñ kaise ho Rāt jab khatm huī thī to sahar lagtī thī Raushnī rāhguzar rāhguzar lagtī thī Zindagī kūcha-e-jānāñ kā safar lagtī thī Apnī manzil kahīn jannat ke idhar lagtī thī Kuchh bhī āñkhoñ mein nahīñ ashk-e-nadāmat ke sivā Kuchh bhī dāman mein nahīñ dāgh-e-malāmat ke sivā Kuchh bhī chehre pe nahīñ gard-e-musāfat ke sivā Apnī dukān mein sab kuch hai mohabbat ke sivā