بس رات ہے اور کیا ہے مجھ میں؟
بس رات ہے اور کیا ہے مجھ میں؟ ہاں! بُجھتا دیا پڑا ہے مجھ میں جو کاٹ دیا تھا عرصہ پہلے اب بھی وہ شجر ہرا ہے مجھ میں کچھ اپنے لیے بھی تعزیت کر! تُو بھی تو نہیں بچا ہے مجھ میں ہر سمت ہیں خار دار تاریں اور ایک ہی راستہ ہے مجھ میں مَیں گونج رہا ہوں سر سے پا تک اک بھٹکی ہُوئی صدا ہے مجھ میں تُو آئے کہ اور کوئی آئے دروازہ کھُل چکا ہے مجھ میں پِھر پِھر کے دیکھتا ہے دل کو اک زخم نیا نیا ہے مجھ میں
English rendering
Bas raat hai aur kya hai mujh mein? Haan! Bujhta diya pada hai mujh mein Jo kaat diya tha arsa pehle Ab bhi wo shajar hara hai mujh mein Kuchh apne liye bhi taaziyat kar! Tu bhi to nahin bacha hai mujh mein Har samt hain khaar dar taaren Aur ek hi rasta hai mujh mein Main goonj raha hoon sar se pa tak Ek bhatki hui sada hai mujh mein Tu aaye ke aur koi aaye Darwaza khul chuka hai mujh mein Phir phir ke dekhta hai dil ko Ek zakhm naya naya hai mujh mein