قربتیں ہوتے ہوئے بھی فاصلوں میں قید ہیں
قربتیں ہوتے ہوئے بھی فاصلوں میں قید ہیں کتنی آزادی سے ہم اپنی حدوں میں قید ہیں کون سی آنکھوں میں میرے خواب روشن ہیں ابھی کس کی نیندیں ہیں جو میرے رتجگوں میں قید ہیں شہر آبادی سے خالی ہو گئے خوشبو سے پھول اور کتنی خواہشیں ہیں جو دلوں میں قید ہیں پاؤں میں رشتوں کی زنجیریں ہیں دل میں خوف کی ایسا لگتا ہے کہ ہم اپنے گھروں میں قید ہیں یہ زمیں یوں ہی سکڑتی جائے گی اور ایک دن پھیل جائیں گے جو طوفاں ساحلوں میں قید ہیں اس جزیرے پر ازل سے خاک اڑتی ہے ہوا منزلوں کے بھید پھر بھی راستوں میں قید ہیں کون یہ پاتال سے ابھرا کنارے پر سلیمؔ سر پھری موجیں ابھی تک دائروں میں قید ہیں
English rendering
Qurbatein hote hue bhi faaslon mein qaid hain Kitni aazadi se hum apni haddon mein qaid hain Kaun si aankhon mein mere khwab roshan hain abhi Kis ki neendein hain jo mere ratjagoon mein qaid hain Shehar abadi se khaali ho gaye khushboo se phool Aur kitni khwahishein hain jo dilon mein qaid hain Paon mein rishton ki zanjeerein hain dil mein khauf ki Aisa lagta hai ke hum apne gharon mein qaid hain Yeh zameen yoon hi sikudti jayegi aur ek din Phel jayenge jo toofan sahilon mein qaid hain Is jazeere par azal se khaak udti hai hawa Manzilon ke bhed phir bhi raaston mein qaid hain Kaun yeh pataal se ubhra kinare par Saleem Sar-phiri maujein abhi tak daayron mein qaid hain