آپ کو ایسے نہ کھونا تھا ہمیں
آپ کو ایسے نہ کھونا تھا ہمیں تھوڑا دنیا دار ہونا تھا ہمیں حال پر ہنستے تھے جن کے آج تک اب انہیں کے ساتھ رونا تھا ہمیں قبر بھی اس کی کہیں باقی نہ تھی جس کی بیماری کو ڈھونا تھا ہمیں خود کشی کرنے تو ہم آئے نہ تھے پھر یہاں کس کو ڈبونا تھا ہمیں یہ کوئی اتنی بڑی خواہش نہ تھی دیر تک اک روز سونا تھا ہمیں بے سبب اس کو بہانہ دے دیا وقت سے تیار ہونا تھا ہمیں آپ کے نخروں کو بھی دینا تھا وقت اور زمانے کا بھی ہونا تھا ہمیں تو گیا تو رہ گیا وہ داغ بھی وہ جسے مل جل کے دھونا تھا ہمیں
English rendering
aap ko aise na khonā thā hameñ thoḌā duniyā-dār honā thā hameñ haal par hañste the jin ke aaj tak ab unhīñ ke saath ronā thā hameñ qabr bhī us kī kahīñ baaqī na thī jis kī bīmārī ko Dhonā thā hameñ ḳhud-kushī karne to ham aa.e na the phir yahāñ kis ko Dubonā thā hameñ ye koī itnī baḌī ḳhvāhish na thī der tak ik roz sonā thā hameñ be-sabab us ko bahāna de diyā vaqt se tayyār honā thā hameñ aap ke naḳhroñ ko bhī denā thā vaqt aur zamāne kā bhī honā thā hameñ tū gayā to rah gayā vo daaġh bhī vo jise mil-jul ke dhonā thā hameñ