اصل خطرہ
نہیں یہ ممکن نہیں یہ سب کار رائیگاں ہے کہاں سے لائیں گے ہم بھلا اتنی گھنٹیاں جتنی بلیاں ہیں میں ایک بوڑھا اداس چوہا بس اتنا کہہ کر تمام کرتا ہوں بات اپنی وہ صرف بلی نہیں جسے ہم کو دیکھنا ہے وہ ایسا خطرہ نہیں ہے شاید کہ اس کی ہر چال سے تو ہم پھر بھی آشنا ہیں مگر وہ چوہا گلے میں گھنٹی جو ڈال کر آئنے کے آگے کھڑا ہوا ہے جو ایک تمغوں کی شکل میں اس کو دیکھتا ہے وہ اصل خطرہ ہے جس کا رکھنا ہے دھیان ہم کو تمام خونخوار بلیوں کی ہے روح اس میں
English rendering
nahīñ ye mumkin nahīñ ye sab kār-e-rā.egāñ hai kahāñ se lā.eñge ham bhalā itnī ghanTiyāñ jitnī billiyāñ haiñ maiñ ek būḌhā udaas chūhā bas itnā kah kar tamām kartā huuñ baat apnī vo sirf billī nahīñ jise ham ko dekhnā hai vo aisā ḳhatra nahīñ hai shāyad ki us kī har chaal se to ham phir bhī āshnā haiñ magar vo chūhā gale meñ ghanTī jo Daal kar aa.ine ke aage khaḌā huā hai jo ek tamġhoñ kī shakl meñ us ko dekhtā hai vo asl ḳhatra hai jis kā rakhnā hai dhyān ham ko tamām ḳhūñḳhār billiyoñ kī hai ruuh us meñ