کھلونا موت بھی ہے
مرے جسم کے پینتروں سے پریشاں تھی وہ میں نے سمجھانا چاہا اسے خدا جانتا ہے کہ رتی برابر مجھے اور جینے کی خواہش نہیں سچ تو یہ ہے ایسے مہمان سے منہ چھپانا کہ جو صرف میرے لئے آسمانوں سے آیا ہو شرمندہ کرتا ہے مجھ کو بھلا ایک انساں کے بس میں کہاں موت کو چھیڑنا میں تو ڈرتا ہوں تم سے یہ کوئی اور ہے جو مرے سرد پیروں کو پھر گرم کر کے تمہیں چھیڑتا ہے مرے گھر کے چکر لگانے پہ مجبور کرتا ہے مگر وہ سسکتی رہی اپنے پیروں کے چھالوں کو روتی رہی اور میں حیرت زدہ سوچنے پر یہ مجبور تھا کیا مری موت بھی میرے مرنے کے دن میری سانسوں کی گنتی کے بارے میں اتنی ہی انجان ہے جتنا میں
English rendering
mire jism ke paiñtraoñ se pareshāñ thī vo maiñ ne samjhānā chāhā use ḳhudā jāntā hai ki rattī barābar mujhe aur jiine kī ḳhvāhish nahīñ sach to ye hai aise mehmān se muñh chhupānā ki jo sirf mere liye āsmānoñ se aayā ho sharminda kartā hai mujh ko bhalā ek insāñ ke bas meñ kahāñ maut ko chheḌnā maiñ to Dartā huuñ tum se ye koī aur hai jo mire sard pairoñ ko phir garm kar ke tumheñ chheḌtā hai mire ghar ke chakkar lagāne pe majbūr kartā hai magar vo sisaktī rahī apne pairoñ ke chhāloñ ko rotī rahī aur maiñ hairat-zada sochne par ye majbūr thā kyā mirī maut bhī mere marne ke din merī sāñsoñ kī gintī ke baare meñ utnī hī anjān hai jitnā maiñ