اب نہیں لوٹنا
میں بہت دور تھا جب پکارا گیا حاضری کے لئے ڈاکٹر ایک ٹھنڈا بدن تیز بجلی کے جھٹکے اب مگر مجھ میں اس جسم کو گرم کرنے کی کوئی بھی خواہش نہ تھی زندگی کٹ گئی ڈھونڈتے ڈھونڈتے وہ رجسٹر کہ جس میں مرا نام موجود ہو اور مری حاضری لگ سکے پر کسی نے پکارا نہیں میرا نام نہیں لوٹنا اب مجھے اس زمیں پر نہیں لوٹنا حاضری کے بغیر اس زمیں سے مرا لوٹنا ہی یہ ثابت کرے گا کہ میں اک فرشتہ تھا اور اس جہاں میں غلط آ گیا تھا
English rendering
maiñ bahut duur thā jab pukārā gayā hāzirī ke liye doctor ek ThanDā badan tez bijlī ke jhaTke ab magar mujh meñ us jism ko garm karne kī koī bhī ḳhvāhish na thī zindagī kaT ga.ī DhūñDte DhūñDte vo register ki jis meñ mirā naam maujūd ho aur mirī hāzirī lag sake par kisī ne pukārā nahīñ merā naam nahīñ lauTnā ab mujhe is zamīñ par nahīñ lauTnā hāzirī ke baġhair is zamīñ se mirā lauTnā hī ye sābit karegā ki maiñ ik farishta thā aur is jahāñ meñ ġhalat aa gayā thā