عجب مشکل ہے میری
مری دنیا بہت تیزی سے خالی ہو رہی ہے عجب مشکل ہے میری کسی کی آنکھ میں ہے کون سا چہرہ مرا یہ بھول جاتا ہوں مگر الزام دینا حافظے کو بھی غلط ہوگا یہ ممکن ہی نہیں ہے کوئی اپنے سارے چہرے یاد رکھ پائے نتیجہ یہ کہ ہر جاتے ہوئے لمحے کے ہمراہ مری تنہائی بڑھتی جا رہی ہے میں اپنا ایک چہرہ بھولتا ہوں اور تعلق ختم ہو جاتا ہے کوئی
English rendering
mirī duniyā bahut tezī se ḳhālī ho rahī hai ajab mushkil hai merī kisī kī aañkh meñ hai kaun sā chehra mirā ye bhuul jaatā huuñ magar ilzām denā hāfize ko bhī ġhalat hogā ye mumkin hī nahīñ hai koī apne saare chehre yaad rakh paa.e natīja ye ki har jaate hue lamhe ke ham-rāh mirī tanhā.ī baḌhtī jā rahī hai maiñ apnā ek chehra bhūltā huuñ aur ta.alluq ḳhatm ho jaatā hai koī