عجب شکست کا احساس دل پہ چھایا تھا
عجب شکست کا احساس دل پہ چھایا تھا کسی نے مجھ کو نشانا نہیں بنایا تھا اسی نگاہ نے آنکھوں کو کر دیا پتھر اسی نگاہ میں سب کچھ نظر بھی آیا تھا یہاں تو ریت ہے پتھر ہیں اور کچھ بھی نہیں وہ کیا دکھانے مجھے اتنی دور لایا تھا الجھ گیا ہوں کچھ ایسا کہ یاد بھی تو نہیں یہ وہم پہلے پہل کیسے دل میں آیا تھا وہ میں نہیں تھا تمہاری طرف سرکتا ہوا ہوس نے تیرگی کا فائدہ اٹھایا تھا بچھڑنا اتنا ہی آسان تھا اگر اس سے تو خودکشی کا یہ سامان کیوں جٹایا تھا گلا تو آج بھی سچائی ہے مگر شارقؔ یہ جھوٹ اس سے میں پہلے ہی بول آیا تھا
English rendering
ajab shikast kā ehsās dil pe chhāyā thā kisī ne mujh ko nishānā nahīñ banāyā thā usī nigāh ne āñkhoñ ko kar diyā patthar usī nigāh meñ sab kuchh nazar bhī aayā thā yahāñ to ret hai patthar haiñ aur kuchh bhī nahīñ vo kyā dikhāne mujhe itnī duur laayā thā ulajh gayā huuñ kuchh aisā ki yaad bhī to nahīñ ye vahm pahle-pahal kaise dil meñ aayā thā vo maiñ nahīñ thā tumhārī taraf saraktā huā havas ne tīrgī kā fā.eda uThāyā thā bichhaḌnā itnā hī āsān thā agar us se to ḳhud-kushī kā ye sāmān kyuuñ juTāyā thā gilā to aaj bhī sachchā.ī hai magar 'shāriq' ye jhuuT us se meñ pahle hī bol aayā thā