انا کا کون سا چہرہ تھا وہ
انا کا کون سا چہرہ تھا وہ میں یہ سمجھ پایا نہیں ہوں آج تک خبر یہ آئی تھی طبیعت رات سے بہتر ہے کچھ اس وقت ان کی مجھے یہ بات سن کر تو خوشی سے جھوم اٹھنا چاہیے تھا مگر میں چپ کھڑا تھا یہ شاید وہ نہیں تھا جو میں سننا چاہتا تھا تو کیا اس خاص پل میں میں ان کی موت کا خواہاں تھا اور وہ بھی اس ذرا سی بات پر کہ میں نے رات یوں ہی دوستوں کے بیچ میں یہ کہہ دیا تھا مجھے آثار کچھ اچھے نہیں لگتے سویرے تک بھی یہ زندہ اگر رہ جائیں تو جانو کہا پورا نہ ہونے کی مری بے عزتی کسی کی جان سے بڑھ کر بھی ہو سکتی ہے مجھ کو یہ نہیں معلوم تھا
English rendering
anā kā kaun sā chehra thā vo maiñ ye samajh paayā nahīñ huuñ aaj tak ḳhabar ye aa.ī thī tabī'at raat se behtar hai kuchh is vaqt un kī mujhe ye baat sun kar to ḳhushī se jhuum uThnā chāhiye thā magar maiñ chup khaḌā thā ye shāyad vo nahīñ thā jo maiñ sunñā chāhtā thā to kyā is ḳhaas pal meñ maiñ un kī maut kā ḳhvāhāñ thā aur vo bhī is zarā sī baat par ki maiñ ne raat yūñhī dostoñ ke biich meñ ye kah diyā thā mujhe āsār kuchh achchhe nahīñ lagte savere tak bhī ye zinda agar rah jaa.eñ to jaano kahā puurā na hone kī mirī be'izzatī kisī kī jaan se baḌh kar bhī ho saktī hai mujh ko ye nahīñ mā'lūm thā