اپنے تماشے کا ٹکٹ
یہ خواہش تو ہمارے شہر کے چڑیا گھروں کے شیر بھی شاید نہیں کرتے کہ ساتھی شیر ان کو دیکھنے آئیں ٹکٹ لے کر تماشے کی طرح تماشا بن کے یہ جینے کی مجبوری کہیں شرمندگی کی شکل میں منہ پر چھپی رہتی ہیں ان کے مگر انسان؟ اس کا بس نہیں چلتا کہ سر کے بل کھڑے ہو کر توجہ کھینچ لے سب کی وہی انساں جو خود کو اشرف و افضل سمجھتا ہے اگر ممکن ہو تو اپنے تماشے کے ٹکٹ خود اپنے ہاتھوں دوسروں کو بیچ سکتا ہے
English rendering
ye ḳhvāhish to hamāre shahr ke chiḌiyā-gharoñ ke sher bhī shāyad nahīñ karte ki sāthī sher un ko dekhne aa.eñ ticket le kar tamāshe kī tarah tamāshā ban ke ye jiine kī majbūrī kahīñ sharmindagī kī shakl meñ muñh par chhapī rahtī haiñ un ke magar insān? us kā bas nahīñ chaltā ki sar ke bal khaḌe ho kar tavajjoh khīñch le sab kī vahī insāñ jo ḳhud ko ashraf-o-afzal samajhtā hai agar mumkin ho to apne tamāshe ke ticket ḳhud apne hāthoñ dūsroñ ko bech saktā hai