بہروپیا
انوکھا اور نیا غم شرط ہے کوئی تمہارے خودکشی کرنے کی تو پھر بھول جاؤ یہاں تو بس وہی غم ہیں پرانے غم کہ جن سے کام یہ دنیا چلاتی آ رہی ہے مگر تم ہو کہ ہنس دیتے ہو ان پر اگر یہ غم تمہیں غم ہی نہیں لگتے کہ محبوبہ تمہاری بے وفا ہے کہ وہ بچہ چھٹی جس کی منانا تھی تمہیں آج ناک میں ہے آکسیجن ٹیوب اس کے تو پھر یہ گولیاں سلفاس کی بیکار میں تم جیب میں رکھے ہوئے ہو انہیں جا کر اسی کٹھیا میں رکھ آؤ کہ جس میں کل ہی تم نے سال بھر کے واسطے گیہوں بھرا ہے
English rendering
anokhā aur nayā ġham shart hai koī tumhāre ḳhud-kushī karne kī to phir bhuul jaao yahāñ to bas vahī ġham haiñ purāne ġham ki jin se kaam ye duniyā chalātī aa rahī hai magar tum ho ki hañs dete ho un par agar ye ġham tumheñ ġham hī nahīñ lagte ki mahbūba tumhārī bevafā hai ki vo bachcha chhaTī jis kī manānā thī tumheñ aaj naak meñ hai oxygen tube us ke to phir ye goliyāñ salfas kī be-kār meñ tum jeb meñ rakkhe hue ho inheñ jā kar usī kaThiyā meñ rakh aao ki jis meñ kal hī tum ne saal bhar ke vāste gehūñ bharā hai