بارات کا گھوڑا
خدا تو نے مجھے گھوڑا بنایا تو مگر بارات کا جس کے آگے ناچتے رہتے ہیں لوگ نوٹ دانتوں میں دبائے کیا نظر میں ہیں تری وہ ظلم جو مجھ پر ہوئے ہیں اس کرم کی آڑ میں ریس کے میدان کے بدلے کسی منڈپ تلک کا یہ سفر کتنا تھکا دیتا ہے مجھ کو کیا تجھے معلوم ہے کیا تجھے معلوم ہے دولہے کا بوجھ اس کو بیٹھانے کی ذمہ داریاں اور اس پر اس قدر حساس دل جو سمجھ سکتا ہے اس دن کے معانی کیا ہیں دولہے کے لیے کوئی کیسا بھی پٹاخہ چھوڑ دے پیروں میں میرے شور سے باجے کے میرے کان بھی پھٹ جائیں تو کیا چال میں اپنی ذرا سا فرق میں آنے نہ دوں گا پیٹھ پر بیٹھے ہوئے دولہے کی عزت میری عزت ہاں مگر یہ بھی خیال آتا ہے اکثر میں تو ہر ذلت اٹھا کر اپنی ذمہ داریاں پوری کروں گا اور کرتا آ رہا ہوں تو مگر کب اس طرح سوچے گا اس مخلوق کے بارے میں جو تیری اماں میں ہے
English rendering
ḳhudā tū ne mujhe ghoḌā banāyā to magar bārāt kā jis ke aage nāchte rahte haiñ log note dāñtoñ meñ dabā.e kyā nazar meñ haiñ tirī vo zulm jo mujh par hue haiñ is karam kī aaḌ meñ race ke maidān ke badle kisī manDap talak kā ye safar kitnā thakā detā hai mujh ko kyā tujhe mā'lūm hai kyā tujhe mā'lūm hai dūlhe kā bojh us ko baiThāne kī zimmedāriyāñ aur us par is qadar hassās dil jo samajh saktā hai is din ke ma'ānī kyā haiñ dūlhe ke liye koī kaisā bhī paTāḳha chhoḌ de pairoñ meñ mere shor se baaje ke mere kaan bhī phaT jaa.eñ to kyā chaal meñ apnī zarā sā farq maiñ aane na dūñgā piiTh par baiThe hue dūlhe kī 'izzat merī 'izzat haañ magar ye bhī ḳhayāl aatā hai aksar maiñ to har zillat uThā kar apnī zimmedāriyāñ puurī karūñgā aur kartā aa rahā huuñ tū magar kab is tarah sochegā us maḳhlūq ke baare meñ jo terī amaañ meñ hai