برابر جسم کو دھمکا رہی ہے
برابر جسم کو دھمکا رہی ہے ہماری موت کہہ کر آ رہی ہے چلو تھوڑا بہت تو سو لیے ہم مگر اب اور سستی چھا رہی ہے محلے بھر کی خاموشی کا مطلب مری آواز باہر جا رہی ہے اداسی کر رہی ہے اپنا عادی ابھی شرطیں نہیں منوا رہی ہے سمجھ لو ہو چکا ہے کام آساں اگر وہ مشکلیں گنوا رہی ہے جسے نادان سمجھا تھا وہ لڑکی بڑی مشکل سے دھوکا کھا رہی ہے ہمیں اس جنگ کو ہارے نہیں ہیں تمہاری سلطنت بھی جا رہی ہے
English rendering
barābar jism ko dhamkā rahī hai hamārī maut kah kar aa rahī hai chalo thoḌā bahut to so liye ham magar ab aur sustī chhā rahī hai mohalle bhar kī ḳhāmoshī kā matlab mirī āvāz bāhar jā rahī hai udāsī kar rahī hai apnā 'aadī abhī sharteñ nahīñ manvā rahī hai samajh lo ho chukā hai kaam āsāñ agar vo mushkileñ ginvā rahī hai jise nādān samjhā thā vo laḌkī baḌī mushkil se dhokā khā rahī hai hamīñ is jang ko haare nahīñ haiñ tumhārī saltanat bhī jā rahī hai