بے تکلف مرا ہیجان بناتا ہے مجھے
بے تکلف مرا ہیجان بناتا ہے مجھے سامنے تیرے کہاں بولنا آتا ہے مجھے وہ اداسی کہ بکھرنے سے نہیں بچ سکتا اور ترا لمس کہ چنتا چلا جاتا ہے مجھے اب مرے لوٹ کے آنے کا کوئی وقت نہیں یوں بھی اب گھر سے سوا کون بلاتا ہے مجھے گیت ہی صرف لبوں پر ہو تو آ جائے بھی نیند وہ کوئی اور کہانی بھی سناتا ہے مجھے قطع کر کے بھی تعلق وہ کہاں چین سے ہے اس کے اسباب و دلائل بھی گناتا ہے مجھے خود سے وہ کون سے شکوے ہیں کہ جاتے ہی نہیں اپنے جیسوں پہ یقیں کیوں نہیں آتا ہے مجھے اور اک بار ذرا چھیڑ مری روح کے تار ان سروں میں تو کوئی اور بھی گاتا ہے مجھے اک ترا درد ہے اچھے ہیں مراسم جس سے بس وہی ہے کہ جو پلکوں پہ بٹھاتا ہے مجھے میں کسی دوسرے پہلو سے اسے کیوں سوچوں یوں بھی اچھا ہے وہ جیسا نظر آتا ہے مجھے ہو سبب کچھ بھی مرے آنکھ بچانے کا مگر صاف کر دوں کہ نظر کم نہیں آتا ہے مجھے ناخداؤں نے تو خوش فہمیاں بخشی ہیں فقط میں ہوں خطرے میں یہ طوفاں ہی بتاتا ہے مجھے
English rendering
be-takalluf mirā haijān banātā hai mujhe sāmne tere kahāñ bolnā aatā hai mujhe vo udāsī ki bikharne se nahīñ bach saktā aur tirā lams ki chuntā chalā jaatā hai mujhe ab mire lauT ke aane kā koī vaqt nahīñ yuuñ bhī ab ghar se sivā kaun bulātā hai mujhe giit hī sirf laboñ par ho to aa jaa.e bhī niiñd vo koī aur kahānī bhī sunātā hai mujhe qat' kar ke bhī ta'alluq vo kahāñ chain se hai is ke asbāb-o-dalā.il bhī ginātā hai mujhe ḳhud se vo kaun se shikve haiñ ki jaate hī nahīñ apne jaisoñ pe yaqīñ kyuuñ nahīñ aatā hai mujhe aur ik baar zarā chheḌ mirī ruuh ke taar in suroñ meñ to koī aur bhī gaatā hai mujhe ik tirā dard hai achchhe haiñ marāsim jis se bas vahī hai ki jo palkoñ pe biThātā hai mujhe maiñ kisī dūsre pahlū se use kyuuñ sochūñ yuuñ bhī achchhā hai vo jaisā nazar aatā hai mujhe ho sabab kuchh bhī mire aañkh bachāne kā magar saaf kar duuñ ki nazar kam nahīñ aatā hai mujhe nā-ḳhudāoñ ne to ḳhush-fahmiyāñ baḳhshī haiñ faqat maiñ huuñ ḳhatre meñ ye tūfāñ hī batātā hai mujhe