بچھڑ کر ہم اسی کے حق میں اچھا کر رہے تھے
بچھڑ کر ہم اسی کے حق میں اچھا کر رہے تھے مگر اس کو یہ لگتا تھا کہ دھوکہ کر رہے تھے ذرا سا فاصلہ بھی اک مصیبت ہو گیا تھا کہ ہم ہر موڑ پر آرام اتنا کر رہے تھے محبت کو ابھی رونے کا وقت آیا نہیں تھا ابھی ہم دوسری باتوں پہ جھگڑا کر رہے تھے خدا جانے یہ نیکی تھی کہ خود غرضی ہماری بدل اپنا عبادت میں مہیا کر رہے تھے جہاں والوں کو تم اپنی صفائی میں نہ لانا جہاں والے تو مجھ پر بھی بھروسہ کر رہے تھے بڑی سنجیدگی کے ساتھ اسٹیشن پہ اترے وہی لڑکے جو رستہ بھر تماشہ کر رہے تھے جہاں پر حکمرانی صرف تیرے درد کی تھی وہاں اب دوسرے غم بھی علاقہ کر رہے تھے کئی بیمار اتنے بے تکلف تھے کہ شارقؔ ہمیں بھی ساتھ چلنے کا اشارہ کر رہے تھے
English rendering
bichhaḌ kar ham usī ke haq meñ achchhā kar rahe the magar us ko ye lagtā thā ki dhoka kar rahe the zarā sā fāsla bhī ik musībat ho gayā thā ki ham har moḌ par ārām itnā kar rahe the mohabbat ko abhī rone kā vaqt aayā nahīñ thā abhī ham dūsrī bātoñ pe jhagḌā kar rahe the ḳhudā jaane ye nekī thī ki ḳhud-ġharzī hamārī badal apnā 'ibādat meñ muhayyā kar rahe the jahāñ vāloñ ko tum apnī safā.ī meñ na laanā jahāñ vaale to mujh par bhī bharosa kar rahe the baḌī sanjīdgī ke saath station pe utre vahī laḌke jo raste bhar tamāsha kar rahe the jahāñ par hukmrānī sirf tere dard kī thī vahāñ ab dūsre ġham bhī 'ilāqa kar rahe the ka.ī bīmār itne be-takalluf the ki 'shāriq' hameñ bhī saath chalne kā ishāra kar rahe the