چپ ہیں سب موت کے سوال کے بعد
چپ ہیں سب موت کے سوال کے بعد کیا کہے کوئی اس مثال کے بعد اک ہمیں ہیں قدیم و خستہ یہاں سب نئے ہو گئے زوال کے بعد دل مرا کھیل میں لگا ہی نہیں اک تماشائی کے سوال کے بعد پیٹ کی آگ بجھ چکی سب کی لوگ خاموش ہیں خلال کے بعد اجنبی ہو گیا ہوں اپنے لیے آپ اپنے کئے کمال کے بعد
English rendering
chup haiñ sab maut ke savāl ke baa'd kyā kahe koī is misāl ke baa'd ik hamīñ haiñ qadīm-o-ḳhasta yahāñ sab na.e ho ga.e zavāl ke baa'd dil mirā khel meñ lagā hī nahīñ ik tamāshā.ī ke savāl ke baa'd peT kī aag bujh chukī sab kī log ḳhāmosh haiñ ḳhilāl ke baa'd ajnabī ho gayā huuñ apne liye aap apne kiye kamāl ke baa'd