دروازے پر بستر
ہاں یہی گھر ہے جہاں میرے کمرے اور دروازہ کے بیچ دستکیں ہی دستکیں تھیں اور میرا حکم یہ کہہ دو کہ میں گھر پر نہیں آج دروازے پہ بستر ہے مرا شور سے اندر کے بچنے کے لیے دور کی آہٹ پہ سارا دھیان ہے اک رضائی بھر بچا ہے جب وجود کھولنا کنڈی بہت آسان ہے آج دروازے پہ بستر ہے مرا وقت نے کم کر دیا ہے فاصلہ دستک کا میرے کان سے
English rendering
haañ yahī ghar hai jahāñ mere kamre aur darvāze ke biich dastakeñ hī dastakeñ thiiñ aur merā hukm ye kah do ki maiñ ghar par nahīñ aaj darvāze pe bistar hai mirā shor se andar ke bachne ke liye duur kī aahaT pe saarā dhyān hai ik razā.ī bhar bachā hai jab vujūd kholnā kunDī bahut āsān hai aaj darvāze pe bistar hai mirā vaqt ne kam kar diyā hai fāsla dastak kā mere kaan se