دلوں پر نقش ہونا چاہتا ہوں
دلوں پر نقش ہونا چاہتا ہوں مکمل موت سے گھبرا رہا ہوں سبھی سے راز کہہ دیتا ہوں اپنے نہ جانے کیا چھپانا چاہتا ہوں توجہ کے لئے ترسا ہوں اتنا کہ اک الزام پر خوش ہو رہا ہوں مجھے محفل کے باہر کا نہ جانو میں اپنا جام خالی کر چکا ہوں یہ عادت بھی اسی کی دی ہوئی ہے کہ سب کو مسکرا کر دیکھتا ہوں الگ ہوتی ہے ہر لمحے کی دنیا پرانا ہو کے بھی کتنا نیا ہوں
English rendering
diloñ par naqsh honā chāhtā huuñ mukammal maut se ghabrā rahā huuñ sabhī se raaz kah detā huuñ apne na jaane kyā chhupānā chāhtā huuñ tavajjoh ke liye tarsā huuñ itnā ki ik ilzām par ḳhush ho rahā huuñ mujhe mahfil ke bāhar kā na jaano maiñ apnā jaam ḳhālī kar chukā huuñ ye aadat bhī usī kī dī huī hai ki sab ko muskurā kar dekhtā huuñ alag hotī hai har lamhe kī duniyā purānā ho ke bhī kitnā nayā huuñ