دوسرے ہاتھ کا دکھ
میں تجھ سے کیوں خفا ہونے لگا قاضی مری تو روح تو نے پاک کر دی یہ سزا دے کر کبھی میں سوچتا بھی جرم کو اپنے تو اب شاید نہ سوچوں گا ہاں برا گر مان سکتا ہے تو میرا دوسرا یہ ہاتھ جس کا ایک ہی ساتھی تھا اس دنیا میں جو کہنی سے تو نے کاٹ ڈالا اور یہ اپنے یار کا غم کس قدر اور کس طرح لیتا ہے دل پر اس کا مجھے کوئی اندازہ نہیں ہے
English rendering
maiñ tujh se kyuuñ ḳhafā hone lagā qaazī mirī to ruuh tū ne paak kar dī ye sazā de kar kabhī maiñ sochtā bhī jurm ko apne to ab shāyad na sochūñgā haañ burā gar maan saktā hai to merā dūsrā ye haath jis kā ek hī sāthī thā is duniyā meñ jo kuhnī se tū ne kaaT Daalā aur ye apne yaar kā ġham kis qadar aur kis tarah letā hai dil par is kā mujhe koī andāza nahīñ hai