شارق کیفی

شارق کیفی

شاعر — Shariq Kaifi

تعارف شاعری

ایک کینسر کے مریض کی بڑبڑ

گلے پر لگا کر نشاں جس گھڑی ڈاکٹر نے یہ مجھ سے کہا اور تو سارے پرہیز ختم آپ کے آج سے شیو مت کیجئے گا جب تلک یہ گلے کی سکائی چلے شیو مت کیجئے گا تو ساری مشیت خدا کی سمجھ میں مرے آ گئی ارے مجھ کو داڑھی سے انکار کب تھا جو یہ رخ نکالا گیا میں تو خود شیو کے نام سے یوں بدکتا رہا آج تک جیسے پانی سے بلی ہاں مری ساس کو کچھ ضرور اعتراضات تھے جن کی عزت کی خاطر میں داڑھی نہیں رکھ سکا مگر ان کو بھی میں اگر وقت ملتا تو سمجھا ہی لیتا خیر اب تو جو ہونا تھا ہو ہی گیا یوں بھی کس کو بھلا کوئی موقع ملا ہے خدا کے حضور بات رکھنے کی اپنی تو یہ بات ہے یعنی میں شکل سے پکا سچا مسلماں نہ لگنے کے شک میں گیا

— شارق کیفی

English rendering

gale par lagā kar nishāñ jis ghaḌī doctor ne ye mujh se kahā aur to saare parhez ḳhatm aap ke aaj se shave mat kījiyegā jab talak ye gale kī sekā.ī chale shave mat kījiyegā to saarī mashiyyat ḳhudā kī samajh meñ mire aa ga.ī are mujh ko dāḌhī se inkār kab thā jo ye ruḳh nikālā gayā maiñ to ḳhud shave ke naam se yuuñ bidaktā rahā aaj tak jaise paanī se billī haañ mirī saas ko kuchh zarūr etarāzāt the jin kī izzat kī ḳhātir maiñ dāḌhī nahīñ rakh sakā magar un ko bhī maiñ agar vaqt miltā to samjhā hī letā ḳhair ab to jo honā thā ho hī gayā yuuñ bhī kis ko bhalā koī mauqā milā hai ḳhudā ke huzūr baat rakhne kī apnī to ye baat hai yaanī maiñ shakl se pakkā sachchā musalmāñ na lagne ke shak meñ gayā

‹ کلام کی فہرست پر واپس