اک دن خود کو اپنے پاس بٹھایا ہم نے
اک دن خود کو اپنے پاس بٹھایا ہم نے پہلے یار بنایا پھر سمجھایا ہم نے خود بھی آخر کار انہی وعدوں سے بہلے جن سے ساری دنیا کو بہلایا ہم نے بھیڑ نے یوں ہی رہبر مان لیا ہے ورنہ اپنے علاوہ کس کو گھر پہنچایا ہم نے موت نے ساری رات ہماری نبض ٹٹولی ایسا مرنے کا ماحول بنایا ہم نے گھر سے نکلے چوک گئے پھر پارک میں بیٹھے تنہائی کو جگہ جگہ بکھرایا ہم نے ان لمحوں میں کس کہ شرکت کیسی شرکت اسے بلا کر اپنا کام بڑھایا ہم نے دنیا کے کچے رنگوں کا رونا رویا پھر دنیا پر اپنا رنگ جمایا ہم نے جب شارقؔ پہچان گئے منزل کی حقیقت پھر رستہ کو رستہ بھر الجھایا ہم نے
English rendering
ik din ḳhud ko apne paas biThāyā ham ne pahle yaar banāyā phir samjhāyā ham ne ḳhud bhī āḳhir-kār unhī va.adoñ se bahle jin se saarī duniyā ko bahlāyā ham ne bhiiḌ ne yūñhī rahbar maan liyā hai varna apne alāva kis ko ghar pahuñchāyā ham ne maut ne saarī raat hamārī nabz TaTolī aisā marne kā māhaul banāyā ham ne ghar se nikle chauk ga.e phir park meñ baiThe tanhā.ī ko jagah jagah bikhrāyā ham ne in lamhoñ meñ kis ki shirkat kaisī shirkat use bulā kar apnā kaam baḌhāyā ham ne duniyā ke kachche rañgoñ kā ronā royā phir duniyā par apnā rang jamāyā ham ne jab 'shāriq' pahchān ga.e manzil kī haqīqat phir raste ko raste bhar uljhāyā ham ne