شارق کیفی

شارق کیفی

شاعر — Shariq Kaifi

تعارف شاعری

فقط حصے کی خاطر

فقط حصے کی خاطر کٹ گئی یہ زندگی میلاد سننے میں بلا جانے کہ حصہ ہے تو کیسا اور کتنا یہ سب آساں نہیں تھا گلاب اور عطر سے بھاری فضا میں سانس لینا دیر تک آساں نہیں تھا نہ آساں تھا سمجھنے کی اداکاری بھی کرنا اس زباں کو جس سے میں نا آشنا تھا اور وو بھی با ادب رہ کر بہت بھاری تھا بیلے کا وہ گجرا جو پہنایا گیا تھا مجھ کو اگلی صف میں بٹھانے سے پہلے ہاں سزا جیسا تھا میرا بیٹھنا اس صف میں جس میں ایک بھی بچہ نہیں تھا اور جہاں سے دور تھیں سب چلمنیں اور ان سے چھنتی رونقیں یہ سب قربانیاں دے کر اگر حصے کی خواہش ہے مجھے تو کیا غلط ہے مرے حصے کی خواہش پر ہنسو مت مرا حصہ تو پکا ہے اگر میں سو بھی جاؤں خدا کو سب پتا ہے

— شارق کیفی

English rendering

faqat hisse kī ḳhātir kaT ga.ī ye zindagī mīlād sunñe meñ bilā jaane ki hissa hai to kaisā aur kitnā ye sab āsāñ nahīñ thā gulāb aur itr se bhārī fazā meñ saañs lenā der tak āsāñ nahīñ thā na āsāñ thā samajhne kī adākārī bhī karnā us zabāñ ko jis se maiñ nā-āshnā thā aur vo bhī bā-adab rah kar bahut bhārī thā bele kā vo gajrā jo pahnāyā gayā thā mujh ko aglī saf meñ baiThāne se pahle haañ sazā jaisā thā merā baiThnā us saf meñ jis meñ ek bhī bachcha nahīñ thā aur jahāñ se duur thiiñ sab chilmaneñ aur un se chhantī raunaqeñ ye sab qurbāniyāñ de kar agar hisse kī ḳhvāhish hai mujhe to kyā ġhalat hai mire hisse kī ḳhvāhish par hañso mat mirā hissa to pakkā hai agar maiñ so bhī jā.ūñ ḳhudā ko sab patā hai

‹ کلام کی فہرست پر واپس