گلہ یہ نہیں ہے کہ بے گھر کیا
گلہ یہ نہیں ہے کہ بے گھر کیا ہوا نے میرا ذکر باہر کیا ترے نام پر آنچ آنے نہ دی تماشہ گلی سے نکل کر کیا جو رستہ بہت دور تک تھا خراب اسے گھر کے آگے برابر کیا ہماری جگہ تھی مگر عمر بھر کسی کو اٹھایا تو بستر کیا نظر کے اشاروں میں کھوئے رہے یہی کام دونوں نے دن بھر کیا جو لکھے ہوے تھے وہ کاٹے نہیں ترا نام نیچے سے اوپر کیا
English rendering
gila ye nahīñ hai ki be-ghar kiyā havā ne merā zikr bāhar kiyā tire naam par aañch aane na dī tamāsha galī se nikal kar kiyā jo rasta bahut duur tak thā ḳharāb use ghar ke aage barābar kiyā hamārī jagah thī magar 'umr bhar kisī ko uThāyā to bistar kiyā nazar ke ishāroñ meñ kho.e rahe yahī kaam donoñ ne din bhar kiyā jo likkhe hue the vo kaaTe nahīñ tirā naam nīche se uupar kiyā