گزر رہا ہے وہ لمحہ تو یاد آیا ہے
گزر رہا ہے وہ لمحہ تو یاد آیا ہے اس ایک پل سے کبھی کتنا خوف کھایا ہے اسی نگاہ نے آنکھوں کو کر دیا پتھر اسی نگاہ میں سب کچھ نظر بھی آیا ہے یہ طنز یوں بھی ہے اک امتحان میرے لیے ترے لبوں سے کوئی اور مسکرایا ہے بہے رقیب کے آنسو بھی میرے گالوں پر یہ سانحہ بھی محبت میں پیش آیا ہے یہ کوئی اور ہے تیری طرف سرکتا ہوا اندھیرا ہوتے ہی جو مجھ میں آ سمایا ہے ہمارے عشق سے مرعوب اس قدر بھی نہ ہو یہ خوں تو ایک اداکار نے بہایا ہے یہاں تو ریت ہے پتھر ہیں اور کچھ بھی نہیں وہ کیا دکھانے مجھے اتنی دور لایا ہے بہت سے بوجھ ہیں دل پر یہ کوئی ایسا نہیں یہ دکھ کسی نے ہمارے لئے اٹھایا ہے
English rendering
guzar rahā hai vo lamha to yaad aayā hai us ek pal se kabhī kitnā ḳhauf khāyā hai usī nigāh ne āñkhoñ ko kar diyā patthar usī nigāh meñ sab kuchh nazar bhī aayā hai ye tanz yuuñ bhī hai ik imtihān mere liye tire laboñ se koī aur muskurāyā hai bahe raqīb ke aañsū bhī mere gāloñ par ye sāneha bhī mohabbat meñ pesh aayā hai ye koī aur hai terī taraf saraktā huā añdherā hote hī jo mujh meñ aa samāyā hai hamāre ishq se mar.ūb is qadar bhī na ho ye ḳhuuñ to ek adākār ne bahāyā hai yahāñ to ret hai patthar haiñ aur kuchh bhī nahīñ vo kyā dikhāne mujhe itnī duur laayā hai bahut se bojh haiñ dil par ye koī aisā nahīñ ye dukh kisī ne hamāre liye uThāyā hai