حقیقت کھل نہیں پائی ابھی تک
حقیقت کھل نہیں پائی ابھی تک پہیلی ہے وہ خاموشی ابھی تک قسم دینا نہیں چھوڑا کسی نے مری سگریٹ نہیں چھوٹی ابھی تک بہت بوڑھی ہے خاموشی ہماری مگر اونچا نہیں سنتی ابھی تک پتہ بھی ہے زمیں کی عمر کیا ہے بنی بیٹھی ہے جو بچی ابھی تک نہ جانے شیو چبھتا ہے کہ بستر نہیں سویا نیا قیدی ابھی تک بڑے بیمار کا چھوٹا سا شکوہ مری چادر نہیں بدلی ابھی تک یہ گھر خود میں جو اک دنیا ہے پوری یہی دنیا نہیں دیکھی ابھی تک
English rendering
haqīqat khul nahīñ paa.ī abhī tak pahelī hai vo ḳhāmoshī abhī tak qasam denā nahīñ chhoḌā kisī ne mirī cigarette nahīñ chhūTī abhī tak bahut būḌhī hai ḳhāmoshī hamārī magar ūñchā nahīñ suntī abhī tak pata bhī hai zamīñ kī 'umr kyā hai banī baiThī hai jo bachchī abhī tak na jaane shave chubhtā hai ki bistar nahīñ soyā nayā qaidī abhī tak baḌe bīmār kā chhoTā sā shikva mirī chādar nahīñ badlī abhī tak ye ghar ḳhud meñ jo ik duniyā hai puurī yahī duniyā nahīñ dekhī abhī tak