شارق کیفی

شارق کیفی

شاعر — Shariq Kaifi

تعارف شاعری

ہاتھ آتا تو نہیں کچھ پہ تقاضہ کر آئیں

ہاتھ آتا تو نہیں کچھ پہ تقاضہ کر آئیں اور اک بار گلی کا تری پھیرا کر آئیں نیند کے واسطے ویسے بھی ضروری ہے تھکن پیاس بھڑکائیں کسی سائے کا پیچھا کر آئیں لطف دیتی ہے مسیحائی پر اتنا بھی نہیں جوش میں اپنے ہی بیمار کو اچھا کر آئیں لوگ محفل میں بلاتے ہوئے کتراتے تھے اب نہیں دھڑکا یہ خود سے کہ کہاں کیا کر آئیں کاش مل جائے کہیں پھر وہی آئینہ صفت نقش بے ربط بہت ہیں انہیں چہرہ کر آئیں کتنی آسانی سے ہم اس کو بھلا سکتے ہیں بس کسی طرح اسے دوسروں جیسا کر آئیں یہ بھی ممکن ہے کہ ہم ہار سے بچنے کے لیے اپنے دشمن کے کسی وار میں حصہ کر آئیں بات ماضی کو الگ رکھ کے بھی ہو سکتی ہے اب جو حالات ہیں ان پر کبھی چرچا کر آئیں یہ بتا کر کہ یہ رونق تو ذرا دیر کی ہے صاحب بزم کے ہیجان کو ٹھنڈا کر آئیں کیا وجود اس کا اگر کوئی توجہ ہی نہ دے ہم کہ جب چاہیں اسے بھیڑ کا حصہ کر آئیں

— شارق کیفی

English rendering

haath aatā to nahīñ kuchh pa taqāza kar aa.eñ aur ik baar galī kā tirī pherā kar aa.eñ niiñd ke vāste vaise bhī zarūrī hai thakan pyaas bhaḌkā.eñ kisī saa.e kā pīchhā kar aa.eñ lutf detī hai masīhā.ī par itnā bhī nahīñ josh meñ apne hī bīmār ko achchhā kar aa.eñ log mahfil meñ bulāte hue katrāte the ab nahīñ dhaḌkā ye ḳhud se ki kahāñ kyā kar aa.eñ kaash mil jaa.e kahīñ phir vahī ā.īna-sifat naqsh be-rabt bahut haiñ inheñ chehra kar aa.eñ kitnī āsānī se ham us ko bhulā sakte haiñ bas kisī tarah use dūsroñ jaisā kar aa.eñ ye bhī mumkin hai ki ham haar se bachne ke liye apne dushman ke kisī vaar meñ hissa kar aa.eñ baat maazī ko alag rakh ke bhī ho saktī hai ab jo hālāt haiñ un par kabhī charchā kar aa.eñ ye batā kar ki ye raunaq to zarā der kī hai sāhib-e-bazm ke haijān ko ThanDā kar aa.eñ kyā vajūd us kā agar koī tavajjoh hī na de ham ki jab chāheñ use bhiiḌ kā hissa kar aa.eñ

‹ کلام کی فہرست پر واپس