حقوق جب یاد آئے اپنے
حقوق جب یاد آئے اپنے غلام پر مسکرائے اپنے بہت جنازے تھے راستے میں قدم بھی ہم گن نہ پائے اپنے وہ کون سی راز داریاں تھیں کہ سائے باہر بٹھائے اپنے ہوا نے آندھی کی شکل لے کر تمام قیدی چھڑائے اپنے اک اور دن کی ہے آمد آمد خدا نے مہرے سجائے اپنے کھڑے ہیں لاشوں کے درمیاں ہم امام ضامن بندھائے اپنے کیا ہی کیا اور زندگی بھر بدن کے نخرے اٹھائے اپنے کسی کا دشمن نہیں تھا دریا بھنور تو ہم ساتھ لائے اپنے یہی تو محفل بگاڑتے ہیں جو ہیں یہاں بن بلائے اپنے
English rendering
huqūq jab yaad aa.e apne ġhulām par muskurā.e apne bahut janāze the rāste meñ qadam bhī ham gin na paa.e apne vo kaun sī rāz-dāriyāñ thiiñ ki saa.e bāhar biThā.e apne havā ne āñdhī kī shakl le kar tamām qaidī chhuḌā.e apne ik aur din kī hai aamad aamad ḳhudā ne mohre sajā.e apne khaḌe haiñ lāshoñ ke darmiyāñ ham imām-zāmin bañdhā.e apne kiyā hī kyā aur zindagī bhar badan ke naḳhre uThā.e apne kisī kā dushman nahīñ thā dariyā bhañvar to ham saath laa.e apne yahī to mahfil bigāḌte haiñ jo haiñ yahāñ bin-bulā.e apne