عبادت کے وقت میں حصہ
عبادت میں خدا کے وقت میں حصے کی خواہش نہ جانے کیوں سبھی یادوں میں ہوتی ہے کھڑا رہتا ہوں میں بس ہاتھ باندھے اک کنارے سے مگر وہ قافلہ یادوں کا جیسے ختم ہونے میں نہیں آتا کہاں سجدہ کروں میں؟ بھول جاتا ہوں کہ رکعت کون سی ہے مصیبت ہے گوارا ہی نہیں ان کو مرا مسجد میں آنا مرا جنت میں جانا ذرا سی دیر کی تو بات تھی دو فرض پڑھنے تھے اور اس کے بعد میں خالی ہی خالی تھا مگر ان حاسدوں کو کون سمجھائے کہیں یہ آج بھی شاید مجھے کھونے سے ڈرتی ہیں عبادت سے خدا کی یہ جلن محسوس کرتی ہیں انہیں سمجھائے کوئی
English rendering
ibādat meñ ḳhudā ke vaqt meñ hisse kī ḳhvāhish na jaane kyuuñ sabhī yādoñ meñ hotī hai khaḌā rahtā huuñ maiñ bas haath bāñdhe ik kināre se magar vo qāfila yādoñ kā jaise ḳhatm hone meñ nahīñ aatā kahāñ sajda karūñ maiñ? bhuul jaatā huuñ ki raka.at kaun sī hai musībat hai gavārā hī nahīñ un ko mirā masjid meñ aanā mirā jannat meñ jaanā zarā sī der kī to baat thī do farz paḌhne the aur is ke ba.ad maiñ ḳhālī hī ḳhālī thā magar in hāsidoñ ko kaun samjhā.e kahīñ ye aaj bhī shāyad mujhe khone se Dartī haiñ ibādat se ḳhudā kī ye jalan mahsūs kartī haiñ inheñ samjhā.e koī