جب ساحل کا دھوکا ساحل ہو جاتا ہے
جب ساحل کا دھوکا ساحل ہو جاتا ہے پار اترنا اور بھی مشکل ہو جاتا ہے اک دن اتنی بھیڑ جٹا لیتی ہے شہرت اپنا قاتل اس میں شامل ہو جاتا ہے موت کے دن سے کیوں ڈرتا تھا یوں ڈرتا تھا جس کو دیکھو گھر میں داخل ہو جاتا ہے کوئی بھی اچھی بات یہاں بس کان میں کہنا بیماروں کو مرنا مشکل ہو جاتا ہے یہ محرومی اور طرح کی محرومی ہے سب کچھ وقت سے پہلے حاصل ہو جاتا ہے ساری حقیقت کھل جاتی ہے دانائی کی جس دن اک گمراہ مقابل ہو جاتا ہے
English rendering
jab sāhil kā dhokā sāhil ho jaatā hai paar utarnā aur bhī mushkil ho jaatā hai ik din itnī bhiiḌ juTā letī hai shohrat apnā qātil us meñ shāmil ho jaatā hai maut ke din se kyoñ Dartā thā yuuñ Dartā thā jis ko dekho ghar meñ dāḳhil ho jaatā hai koī bhī achchhī baat yahāñ bas kaan meñ kahnā bīmāroñ ko marnā mushkil ho jaatā hai ye mahrūmī aur tarah kī mahrūmī hai sab kuchh vaqt se pahle hāsil ho jaatā hai saarī haqīqat khul jaatī hai dānā.ī kī jis din ik gumrāh muqābil ho jaatā hai