جنت سے دور
گواہی حشر کے دن تمام اعضا کے ساتھ ہم انسانوں کی خالی جیب کی بھی مان لی جائے تو ممکن ہے کہ بیڑا پار ہو جائے رضا اور صبر کی تاکید پر وہ صرف اور صرف خالی جیب ہے انسان کی جو بہت کھل کر خدا سے بات کر سکتی ہے شاید وہی ہے جو فرشتوں کی لکھی سیدھی سپاٹ اعمال کی روداد میں بھی نئے کچھ رنگ بھر سکتی ہے شاید مگر ٹھہرو بہت خوش فہم مت ہو سنا یہ ہے خدا کی جیب اوپر تک بھری رہتی ہے ہر دم اور کبھی خالی نہیں ہوتی اسے تو دونوں ہاتھوں سے لٹانا بانٹنا آتا ہے بس ایسی روایت ہے یہی تو پینچ ہے وہ خود جس تجربے سے دور ہے اس کو نظر میں رکھ کے کوئی فیصلہ کرنا اسے منظور ہوگا کیا؟ ابھی کچھ دیر پہلے لگ رہا تھا اب ہمیں ایسا نہیں لگتا کہ خالی جیب اور اس کے دلائل کا کوئی اس پر اثر ہوگا تو مطلب یہ ہوا ہم لوگ اب بھی دور ہیں اتنا ہی جنت سے کہ جتنا یہ خیال آنے سے پہلے تھے
English rendering
gavāhī hashr ke din tamām a.azā ke saath ham insānoñ kī ḳhālī jeb kī bhī maan lī jaa.e to mumkin hai ki beḌā paar ho jaa.e razā aur sabr kī tākīd par vo sirf aur sirf ḳhālī jeb hai insān kī jo bahut khul kar ḳhudā se baat kar saktī hai shāyad vahī hai jo farishtoñ kī likhī sīdhī sapāT a.amāl kī rūdād meñ bhī na.e kuchh rañg bhar saktī hai shāyad magar Thahro bahut ḳhush-fahm mat ho sunā ye hai ḳhudā kī jeb uupar tak bharī rahtī hai har dam aur kabhī ḳhālī nahīñ hotī use to donoñ hāthoñ se luTānā bāñTanā aatā hai bas aisī rivāyat hai yahī to peñch hai vo ḳhud jis tajrabe se duur hai us ko nazar meñ rakh ke koī faisla karnā use manzūr hogā kyaa? abhī kuchh der pahle lag rahā thā ab hameñ aisā nahīñ lagtā ki ḳhālī jeb aur us ke dalā.el kā koī us par asar hogā to matlab ye huā ham log ab bhī duur haiñ utnā hī jannat se ki jitnā ye ḳhayāl aane se pahle the