جاؤں پھر اس کو منانے کے لئے
جاؤں پھر اس کو منانے کے لئے کچھ نئی قسمیں ہیں کھانے کے لئے کچھ لطیفے سے زیادہ چاہئے بیٹھے بیٹھے مسکرانے کے لئے بس ذرا سی دھوپ مل جاتی ہمیں اپنے گیلے پر سکھانے کے لئے یہ جو اب روتے ہیں گھر کی یاد میں مر رہے تھے ساتھ آنے کے لئے ایک ساتھی ہوش میں رکھا گیا واپسی میں گھر بتانے کے لئے دشمنوں کو گھر پہ لے کر آ گئے اپنی تیاری دکھانے کے لئے ہوش تھوڑا سا بچا لیتا ہوں میں واپسی میں لڑکھڑانے کے لئے
English rendering
jā.ūñ phir us ko manāne ke liye kuchh na.ī qasmeñ haiñ khāne ke liye kuchh latīfe se ziyāda chāhiye baiThe-baiThe muskurāne ke liye bas zarā sī dhuup mil jaatī hameñ apne giile par sukhāne ke liye ye jo ab rote haiñ ghar kī yaad meñ mar rahe the saath aane ke liye ek sāthī hosh meñ rakkhā gayā vāpsī meñ ghar batāne ke liye dushmanoñ ko ghar pe le kar aa ga.e apnī tayyārī dikhāne ke liye hosh thoḌā sā bachā letā huuñ maiñ vāpsī meñ laḌkhaḌāne ke liye