جھوٹ پر اس کے بھروسا کر لیا
جھوٹ پر اس کے بھروسا کر لیا دھوپ اتنی تھی کہ سایا کر لیا اب ہماری مشکلیں کچھ کم ہوئیں دشمنوں نے ایک چہرا کر لیا ہاتھ کیا آیا سجا کر محفلیں اور بھی خود کو اکیلا کر لیا ہارنے کا حوصلہ تو تھا نہیں جیت میں دشمن کی حصہ کر لیا منزلوں پر ہم ملیں یہ طے ہوا واپسی میں ساتھ پکا کر لیا ساری دنیا سے لڑے جس کے لیے ایک دن اس سے بھی جھگڑا کر لیا قرب کا اس کے اٹھا کر فائدہ ہجر کا ساماں اکٹھا کر لیا گفتگو سے حل تو کچھ نکلا نہیں رنجشوں کو اور تازہ کر لیا مول تھا ہر چیز کا بازار میں ہم نے تنہائی کا سودا کر لیا
English rendering
jhuuT par us ke bharosā kar liyā dhuup itnī thī ki saayā kar liyā ab hamārī mushkileñ kuchh kam huiiñ dushmanoñ ne ek chehrā kar liyā haath kyā aayā sajā kar mahfileñ aur bhī ḳhud ko akelā kar liyā hārne kā hausla to thā nahīñ jiit meñ dushman kī hissa kar liyā manziloñ par ham mileñ ye tai huā vāpsī meñ saath pakkā kar liyā saarī duniyā se laḌe jis ke liye ek din us se bhī jhagḌā kar liyā qurb kā us ke uThā kar fā.eda hijr kā sāmāñ ikaTThā kar liyā guftugū se hal to kuchh niklā nahīñ ranjishoñ ko aur taaza kar liyā mol thā har chiiz kā bāzār meñ ham ne tanhā.ī kā saudā kar liyā