جسم کے ساتھ آخری لمحہ
چلو چھٹی ملی آخر سبک دوش ہو گئی میں پہرے داری سے اک ایسے جسم کی جو اتنا نازک تھا کہ اس کی انگلیاں پھل کاٹنے والا کوئی چاقو بھی گھایل کرتا رہتا تھا ہوا کم ہو تو جس کی ناک سے خوں بہنے لگتا تھا وہ جس کے پیر تھوڑی سی تھکن سے سوج جاتے تھے یہ میرے آخری لمحے ہیں اپنے جسم کے ساتھ بس اک تختہ اور اس کے بعد میں آزاد ہوں سیر فلک کو سکوں دل میں لئے اس بات کا کہ میرے جسم کو اپنی ہی موت آئی وہ ہارا بھی تو صرف اور صرف اپنی عمر سے اور روح یوں بھی عمر کو گنتی نہیں ہے دشمنوں میں جسم کے
English rendering
chalo chhuTTī milī āḳhir subuk-dosh ho ga.ī maiñ pahre-dārī se ik aise jism kī jo itnā nāzuk thā ki us kī uñgliyāñ phal kāTne vaalā koī chāqū bhī ghāyal kartā rahtā thā havā kam ho to jis kī naak se ḳhuuñ bahne lagtā thā vo jis ke pair thoḌī sī thakan se suuj jaate the ye mere āḳhirī lamhe haiñ apne jism ke saath bas ik taḳhta aur us ke baa'd maiñ āzād huuñ sair-e-falak ko sukūñ dil meñ liye is baat kā ki mere jism ko apnī hī maut aa.ī vo haarā bhī to sirf aur sirf apnī 'umr se aur ruuh yuuñ bhī 'umr ko gintī nahīñ hai dushmanoñ meñ jism ke