شارق کیفی

شارق کیفی

شاعر — Shariq Kaifi

تعارف شاعری

جیت گیا جیت گیا

آؤ اب ڈھونڈو مجھے پھسڈی کہہ کے مجھ کو چھیڑنے والو ہراؤ اب مجھے ہاں مجھے بھی کھیل لگتا تھا یہ سب کچھ ابتدا میں مگر یہ بھی تو سوچو مسلسل ہار کوئی کھیل ہے جو کھیل اس کو مان لیتا میں کہاں تک ہارتا میں؟ مرے چھپنے کے سب کونے اجاگر ہو گئے تھے بہت آسان ہوتا جا رہا تھا ڈھونڈنا مجھ کو مجھے اب جیتنا تھا کسی قیمت پہ مجھ کو جیتنا تھا سو میں نے یہ کیا وہ آہٹ جو مری دشمن رہی تھی آج تک میں نے اسی کو مار ڈالا اور جا کر چھپ گیا خود قبر کے تختوں کے پیچھے منوں مٹی کے نیچے

— شارق کیفی

English rendering

aao ab DhūñDo mujhe phisaDDī keh ke mujh ko chheḌne vaalo harāo ab mujhe haañ mujhe bhī khel lagtā thā ye sab kuchh ibtidā meñ magar ye bhī to socho musalsal haar koī khel hai jo khel is ko maan letā maiñ kahāñ tak hārtā maiñ? mire chhupne ke sab kone ujāgar ho ga.e the bahut āsān hotā jā rahā thā DhūñDnā mujh ko mujhe ab jītnā thā kisī qīmat pe mujh ko jītnā thā so maiñ ne ye kiyā vo aahaT jo mirī dushman rahī thī aaj tak maiñ ne usī ko maar Daalā aur jā kar chhup gayā ḳhud qabr ke taḳhtoñ ke pīchhe manoñ miTTī ke nīche

‹ کلام کی فہرست پر واپس