کبھی خود کو چھوکر نہیں دیکھتا ہوں
کبھی خود کو چھوکر نہیں دیکھتا ہوں خدا جانے بس وہم میں مبتلا ہوں کہاں تک یہ رفتار قائم رہے گی کہیں اب اسے روکنا چاہتا ہوں وہ آ کر منا لے تو کیا حال ہوگا خفا ہو کے جب اتنا خوش ہو رہا ہوں فقط یہ جتاتا ہوں آواز دے کر کہ میں بھی اسے نام سے جانتا ہوں گلی میں سب اچھا ہی کہتے تھے مجھ کو مجھے کیا پتا تھا میں اتنا برا ہوں نہیں یہ سفر واپسی کا نہیں ہے اسے ڈھونڈنے اپنے گھر جا رہا ہوں
English rendering
kabhī ḳhud ko chhūkar nahīñ dekhtā huuñ ḳhudā jaane bas vahm meñ mubtalā huuñ kahāñ tak ye raftār qaa.em rahegī kahīñ ab use roknā chāhtā huuñ vo aa kar manā le to kyā haal hogā ḳhafā ho ke jab itnā ḳhush ho rahā huuñ faqat ye jatātā huuñ āvāz de kar ki maiñ bhī use naam se jāntā huuñ galī meñ sab achchhā hī kahte the mujh ko mujhe kyā patā thā maiñ itnā burā huuñ nahīñ ye safar vāpsī kā nahīñ hai use DhūñDne apne ghar jā rahā huuñ