کہاں سوچا تھا میں نے بزم آرائی سے پہلے
کہاں سوچا تھا میں نے بزم آرائی سے پہلے یہ میری آخری محفل ہے تنہائی سے پہلے بس اک سیلاب تھا لفظوں کا جو رکتا نہیں تھا یہ ہلچل سطح پہ رہتی ہے گہرائی سے پہلے بہت دن ہوش مندوں کے کہے کا مان رکھا مگر اب مشورہ کرتا ہوں سودائی سے پہلے فقط رنگوں کے اس جھرمٹ کو میں سچ مان لوں کیا وہ سب کچھ جھوٹ تھا دیکھا جو بینائی سے پہلے کسی بھی جھوٹ کو جینا بہت مشکل نہیں ہے فقط دل کو ہرا کرنا ہے سچائی سے پہلے یہ آنکھیں بھیڑ میں اب تک اسی کو ڈھونڈتی ہیں جو سایا تھا یہاں پہلے تماشائی سے پہلے
English rendering
kahāñ sochā thā maiñ ne bazm-ārā.ī se pahle ye merī āḳhirī mahfil hai tanhā.ī se pahle bas ik sailāb thā lafzoñ kā jo ruktā nahīñ thā ye halchal sat.h pe rahtī hai gahrā.ī se pahle bahut din hosh-mandoñ ke kahe kā maan rakkhā magar ab mashvara kartā huuñ saudā.ī se pahle faqat rañgoñ ke is jhurmuT ko maiñ sach maan luuñ kyā vo sab kuchh jhuuT thā dekhā jo bīnā.ī se pahle kisī bhī jhuuT ko jiinā bahut mushkil nahīñ hai faqat dil ko harā karnā hai sachchā.ī se pahle ye āñkheñ bhiiḌ meñ ab tak usī ko DhūñDtī haiñ jo saayā thā yahāñ pahle tamāshā.ī se pahle