کہیں نہ تھا وہ دریا جس کا ساحل تھا میں
کہیں نہ تھا وہ دریا جس کا ساحل تھا میں آنکھ کھلی تو اک صحرا کے مقابل تھا میں حاصل کر کے تجھ کو اب شرمندہ سا ہوں تھا اک وقت کہ سچ مچ تیرے قابل تھا میں کس احساس جرم کی سب کرتے ہیں توقع اک کردار کیا تھا جس میں قاتل تھا میں کون تھا وہ جس نے یہ حال کیا ہے میرا کس کو اتنی آسانی سے حاصل تھا میں ساری توجہ دشمن پر مرکوز تھی میری اپنی طرف سے تو بالکل ہی غافل تھا میں جن پر میں تھوڑا سا بھی آسان ہوا ہوں وہی بتا سکتے ہیں کتنا مشکل تھا میں نیند نہیں آتی تھی سازش کے دھڑکے میں فاتح ہو کر بھی کس درجہ بزدل تھا میں گھر میں خود کو قید تو میں نے آج کیا ہے تب بھی تنہا تھا جب محفل محفل تھا میں
English rendering
kahīñ na thā vo dariyā jis kā sāhil thā maiñ aañkh khulī to ik sahrā ke muqābil thā maiñ hāsil kar ke tujh ko ab sharminda sā huuñ thā ik vaqt ki sach-much tere qābil thā maiñ kis ehsās-e-jurm kī sab karte haiñ tavaqqo ik kirdār kiyā thā jis meñ qātil thā maiñ kaun thā vo jis ne ye haal kiyā hai merā kis ko itnī āsānī se hāsil thā maiñ saarī tavajjoh dushman par markūz thī merī apnī taraf se to bilkul hī ġhāfil thā maiñ jin par maiñ thoḌā sā bhī āsān huā huuñ vahī batā sakte haiñ kitnā mushkil thā maiñ niiñd nahīñ aatī thī sāzish ke dhaḌke meñ fāteh ho kar bhī kis darja buzdil thā maiñ ghar meñ ḳhud ko qaid to maiñ ne aaj kiyā hai tab bhī tanhā thā jab mahfil mahfil thā maiñ