کون کہے معصوم ہمارا بچپن تھا
کون کہے معصوم ہمارا بچپن تھا کھیل میں بھی تو آدھا آدھا آنگن تھا کانچ کی چوڑی لے کر میں جب تک لوٹا اس کے ہاتھوں میں سونے کا کنگن تھا جو بھی ملا سب بانٹ لیا تھا آپس میں ایک تھے ہم اور ایک ہی اپنا برتن تھا عکس نہیں تھا رنگوں کی بوچھاریں تھیں روپ سے اس کے سہما ہوا ہر درپن تھا رو دھو کر سو جاتا لیکن درد ترا اک اک بوند نچوڑنے والا ساون تھا تجھ سے بچھڑ کر اور تری یاد آئے گی شاید ایسا سوچنا میرا بچپن تھا
English rendering
kaun kahe ma.asūm hamārā bachpan thā khel meñ bhī to aadhā aadhā āñgan thā kāñch kī chūḌī le kar maiñ jab tak lauTā us ke hāthoñ meñ sone kā kañgan thā jo bhī milā sab baañT liyā thā aapas meñ ek the ham aur ek hī apnā bartan thā aks nahīñ thā rañgoñ kī bauchhāreñ thiiñ ruup se us ke sahmā huā har darpan thā ro-dho kar so jaatā lekin dard tirā ik ik buuñd nichoḌne vaalā sāvan thā tujh se bichhaḌ kar aur tirī yaad aa.egī shāyad aisā sochnā merā bachpan thā