خاک کو میں خوار کیوں کرتا
دعائے خیر سے دعائے مغفرت تک کا سفر پورا ہوا اور اب میں اپنی قبر میں ہوں ذرا حیرت زدہ ہوں مگر یہ قبر اتنی تنگ بالکل بھی نہیں ہے میں جیسی سوچتا تھا مجھے بس عطر اور کافور کی خوشبو پریشاں کر رہی ہے اور کچھ حد تک یہ ڈورے آنکھ کے اندھیرا ہے مگر وہ بھی نہایت مہرباں دل رکھنے والا بہت مانوس سا لگتا ہے سب کچھ کچھ ایسا جیسے کوئی اپنی ماں کی کوکھ میں پھر لوٹ آیا ہو وہاں اوپر بھی کچھ ہلچل ہے اب تک ابھی تک لوگ مٹی دے رہے ہیں جسم کو میرے یہ آوازیں بھی آئی ہیں برائے مہربانی اپنے جوتے کھول لیجے یہ مٹی قبر کی ہے اس کی حرمت کو سمجھئے افسردہ ہو گیا ہوں میں یہ سن کر اگر یہ بات میں نے زندگی میں جان لی ہوتی کہ بس صورت بدل لینے سے مٹی پاک ہو سکتی ہے میری تو اپنی خاک کو میں خوار کیوں کرتا میں اتنا زندگی سے پیار کیوں کرتا
English rendering
duā-e-ḳhair se duā-e-maġhfirat tak kā safar puurā huā aur ab maiñ apnī qabr meñ huuñ zarā hairat-zada huuñ magar ye qabr itnī tañg bilkul bhī nahīñ hai maiñ jaisī sochtā thā mujhe bas itr aur kāfūr kī ḳhushbū pareshāñ kar rahī hai aur kuchh had tak ye Dore aañkh ke añdherā hai magar vo bhī nihāyat mehrbāñ dil rakhne vaalā bahut mānūs sā lagtā hai sab kuchh kuchh aisā jaise koī apnī maañ kī kokh meñ phir lauT aayā ho vahāñ uupar bhī kuchh halchal hai ab tak abhī tak log miTTī de rahe haiñ jism ko mere ye āvāzeñ bhī aa.ī haiñ barā-e-mehrbānī apne juute khol liije ye miTTī qabr kī hai is kī hurmat ko samajhiye afsurda ho gayā huuñ maiñ ye sun kar agar ye baat maiñ ne zindagī meñ jaan lī hotī ki bas sūrat badal lene se miTTī paak ho saktī hai merī to apnī ḳhaak ko maiñ ḳhvār kyuuñ kartā maiñ itnā zindagī se pyaar kyuuñ kartā