خموشی بس خموشی تھی اجازت اب ہوئی ہے
خموشی بس خموشی تھی اجازت اب ہوئی ہے اشاروں کو ترے پڑھنے کی جرأت اب ہوئی ہے عجب لہجے میں کرتے تھے در و دیوار باتیں مرے گھر کو بھی شاید میری عادت اب ہوئی ہے گماں ہوں یا حقیقت سوچنے کا وقت کب تک یہ ہو کر بھی نہ ہونے کی مصیبت اب ہوئی ہے اچانک ہڑبڑا کر نیند سے میں جاگ اٹھا ہوں پرانا واقعہ ہے جس پہ حیرت اب ہوئی ہے یہی کمرہ تھا جس میں چین سے ہم جی رہے تھے یہ تنہائی تو اتنی بے مروت اب ہوئی ہے بچھڑنا ہے ہمیں اک دن یہ دونوں جانتے تھے فقط ہم کو جدا ہونے کی فرصت اب ہوئی ہے عجب تھا مسئلہ اپنا عجب شرمندگی تھی خفا جس رات پر تھے وہ شرارت اب ہوئی ہے محبت کو تری کب سے لیے بیٹھے تھے دل میں مگر اس بات کو کہنے کی ہمت اب ہوئی ہے
English rendering
ḳhamoshī bas ḳhamoshī thī ijāzat ab huī hai ishāroñ ko tire paḌhne kī jur.at ab huī hai ajab lahje meñ karte the dar-o-dīvār bāteñ mire ghar ko bhī shāyad merī aadat ab huī hai gumāñ huuñ yā haqīqat sochne kā vaqt kab tak ye ho kar bhī na hone kī musībat ab huī hai achānak haḌbaḌā kar niiñd se maiñ jaag uThā huuñ purānā vāqi.a hai jis pe hairat ab huī hai yahī kamra thā jis meñ chain se ham jī rahe the ye tanhā.ī to itnī be-muravvat ab huī hai bichhaḌnā hai hameñ ik din ye donoñ jānte the faqat ham ko judā hone kī fursat ab huī hai ajab thā mas.ala apnā ajab sharmindagī thī ḳhafā jis raat par the vo sharārat ab huī hai mohabbat ko tirī kab se liye baiThe the dil meñ magar is baat ko kahne kī himmat ab huī hai