خموشی میں گزارہ کر رہا ہوں
خموشی میں گزارہ کر رہا ہوں اسی سے شور پیدا کر رہا ہوں نیا رشتہ بنے اس عمر میں کیا پرانے کو پرانا کر رہا ہوں مرے رونے پہ مجھ کو ٹوکیے مت کمائی ہے تو خرچہ کر رہا ہوں محبت نے دئے جو زخم مجھ کو انہیں نفرت سے اچھا کر رہا ہوں یہ دنیا کیا مری نظروں میں آئے بڑے خوابوں کا پیچھا کر رہا ہوں سنبھلتا ہوں تو یہ لگتا ہے مجھ کو تمہارے ساتھ دھوکا کر رہا ہوں طبیبوں میں گھرا رہتا ہوں شارقؔ مرض کو جان لیوا کر رہا ہوں
English rendering
ḳhamoshī meñ guzāra kar rahā huuñ isī se shor paidā kar rahā huuñ nayā rishta bane is 'umr meñ kyā purāne ko purānā kar rahā huuñ mire rone pe mujh ko Tokiye mat kamā.ī hai to ḳharcha kar rahā huuñ mohabbat ne diye jo zaḳhm mujh ko unheñ nafrat se achchhā kar rahā huuñ ye duniyā kyā mirī nazroñ meñ aa.e baḌe ḳhvāboñ kā pīchhā kar rahā huuñ sañbhaltā huuñ to ye lagtā hai mujh ko tumhāre saath dhokā kar rahā huuñ tabīboñ meñ ghirā rahtā huuñ 'shāriq' maraz ko jān-levā kar rahā huuñ