ختم خود پر سفر کیا ہم نے
ختم خود پر سفر کیا ہم نے اور ترے نام پر کیا ہم نے یوں تو سارا جہان اپنا تھا پھر بھی اک اپنا گھر کیا ہم نے پہلے دل میں اسے مقیم کیا پھر اسے دل کا ڈر کیا ہم نے دشمنی تھی ہماری گلچیں سے وار اک پھول پر کیا ہم نے سوچتے ہیں تو شرم آتی ہے جو ترے نام پر کیا ہم نے کچھ ہی پل میں اتر گیا تھا سرور رقص کیوں رات بھر کیا ہم نے
English rendering
ḳhatm ḳhud par safar kiyā ham ne aur tire naam par kiyā ham ne yuuñ to saarā jahān apnā thā phir bhī ik apnā ghar kiyā ham ne pahle dil meñ use muqīm kiyā phir use dil kā Dar kiyā ham ne dushmanī thī hamārī gulchīñ se vaar ik phuul par kiyā ham ne sochte haiñ to sharm aatī hai jo tire naam par kiyā ham ne kuchh hī pal meñ utar gayā thā surūr raqs kyoñ rāt-bhar kiyā ham ne