خیال سا ہے کہ تو سامنے کھڑا تھا ابھی
خیال سا ہے کہ تو سامنے کھڑا تھا ابھی غنودگی میں ہوں شاید میں سو گیا تھا ابھی پھر اس کی شکل خیالوں میں صاف بننے لگی یہ مسئلہ تو وہی ہے جو حل ہوا تھا ابھی سنا ہے پھر کوئی مجھ کو بچانا چاہتا ہے کسی طرح تو مرا فیصلہ ہوا تھا ابھی یہیں کھڑا تھا وہ آنکھوں میں کتنے خواب لیے میں اس کو اس کا نیا گھر دکھا رہا تھا ابھی اسی کے بارے میں سوچا تو کچھ نہ تھا معلوم اسی کے بارے میں اتنا کہا سنا تھا ابھی
English rendering
ḳhayāl sā hai ki tū sāmne khaḌā thā abhī ġhunūdgī meñ huuñ shāyad maiñ so gayā thā abhī phir us kī shakl ḳhayāloñ meñ saaf banñe lagī ye mas.ala to vahī hai jo hal huā thā abhī sunā hai phir koī mujh ko bachānā chāhtā hai kisī tarah to mirā faisla huā thā abhī yahīñ khaḌā thā vo āñkhoñ meñ kitne ḳhvāb liye maiñ us ko us kā nayā ghar dikhā rahā thā abhī usī ke baare meñ sochā to kuchh na thā mā'lūm usī ke baare meñ itnā kahā sunā thā abhī