خدا نے تو صبر آزمایا مرا
خدا نے تو صبر آزمایا مرا مگر تم نے کیوں دل دکھایا مرا غموں کے تھے اپنے خسارے مگر خوشی نے تو گھر بیچ کھایا مرا چلا تو میں شاید قدم دو قدم بھروسہ مگر لوٹ آیا مرا مرا ہاتھ ہو گا گریبان پر کوئی کچھ اگر کر نہ پایا مرا چھپا کر ہوا مجھ کو ڈھانے کا کام سو ملبہ بھی اندر گرایا مرا کہاں کب اسے کام میں لے لیا یہ قاتل نہیں جان پایا مرا مرا جسم بھی یہ نہیں جانتا کہاں ختم ہوتا ہے سایہ مرا
English rendering
ḳhudā ne to sabr āzmāyā mirā magar tum ne kyoñ dil dukhāyā mirā ġhamoñ ke the apne ḳhasāre magar ḳhushī ne to ghar bech khāyā mirā chalā to maiñ shāyad qadam do qadam bharosa magar lauT aayā mirā mirā haath hogā garebān par koī kuchh agar kar na paayā mirā chhupā kar huā mujh ko Dhāne kā kaam so malba bhī andar girāyā mirā kahāñ kab use kaam meñ le liyā ye qātil nahīñ jaan paayā mirā mirā jism bhī ye nahīñ jāntā kahāñ ḳhatm hotā hai saaya mirā