کسی کے سمجھ دار ہونے تک
قبر کیا ڈھونڈنا مٹ گئے ہوں گے اس کے نشاں کہیں بھی جلا کر لگا دوں اگربتیاں مدتوں بعد بھی ورد کرتے ہوئے سورۂ فاتحہ کا وہی گونج کانوں میں ہے ترا باپ کیا روز پیتا ہے اف وہ جو شرمندگی کا سبب ہو بھلا اس سے کیسی محبت اور ویسے بھی ایک بچہ کی نفرت سے سچا کوئی اور جذبہ نہیں دفن کے وقت بھی تو میں دل میں کہیں ان سے ناراض تھا مگر آج خود جب میں اس عمر میں ہوں جو پاپا کی شاید رہی ہوگی تب جب میں روٹھا تھا ان سے مرے دل میں احساس جرم اور شرمندگی کے سوا کچھ نہیں آپ سن تو رہے ہیں نہ پاپا معافی مجھے چاہئے کیا یہ ممکن ہے پھر خود سے کہتا ہوں شاید نہیں وہ گئے کوئی رکتا نہیں ہے کسی کے سمجھ دار ہونے تلک سچ کی تہہ میں اترنے کے لائق گنہ گار ہونے تلک
English rendering
qabr kyā DhūñDnā miT ga.e hoñge us ke nishāñ kahīñ bhī jalā kar lagā duuñ agarbattiyāñ muddatoñ baa'd bhī vird karte hue sūra-e-fātiha kā vahī guuñj kānoñ meñ hai tirā baap kyā roz piitā hai uf vo jo sharmindagī kā sabab ho bhalā us se kaisī mohabbat aur vaise bhī ek bachche kī nafrat se sachchā koī aur jazba nahīñ dafn ke vaqt bhī to maiñ dil meñ kahīñ un se nārāz thā magar aaj ḳhud jab maiñ us 'umr meñ huuñ jo paapā kī shāyad rahī hogī tab jab maiñ rūThā thā un se mire dil meñ ehsās-e-jurm aur sharmindagī ke sivā kuchh nahīñ aap sun to rahe haiñ na paapā mu'āfī mujhe chāhiye kyā ye mumkin hai phir ḳhud se kahtā huuñ shāyad nahīñ vo ga.e koī ruktā nahīñ hai kisī ke samajhdār hone talak sach kī tah meñ utarne ke laa.iq gunahgār hone talak