کوئی خوش تھا تو کوئی رو رہا تھا
کوئی خوش تھا تو کوئی رو رہا تھا جدا ہونے کا اپنا ہی مزہ تھا نظر کی احتیاطیں کام آئیں وہ میرا دیکھنا تک دیکھتا تھا ستم یہ تھا کہ میں اس کا بدل بھی اسی سے ملتا جلتا ڈھونڈھتا تھا وہی رفتار تھی قدموں کی لیکن وہ اب میرے مخالف چل رہا تھا لبوں تک حال دل وہ بھی نہ لایا مری قدروں کو وہ پہچانتا تھا
English rendering
koī ḳhush thā to koī ro rahā thā judā hone kā apnā hī maza thā nazar kī ehtiyāteñ kaam aa.iiñ vo merā dekhnā tak dekhtā thā sitam ye thā ki maiñ us kā badal bhī usī se miltā-jultā DhūñDhtā thā vahī raftār thī qadmoñ kī lekin vo ab mere muḳhālif chal rahā thā laboñ tak hāl-e-dil vo bhī na laayā mirī qadroñ ko vo pahchāntā thā