کوئی کچھ بھی کہتا رہے سب خاموشی سے سن لیتا ہے
کوئی کچھ بھی کہتا رہے سب خاموشی سے سن لیتا ہے اس نے بھی اب گہری گہری سانسیں لینا سیکھ لیا ہے پیچھے ہٹنا تو چاہا تھا پر ایسے بھی نہیں چاہا تھا اپنی طرف بڑھنے کے لیے بھی اس کی طرف چلنا پڑتا ہے جب تک ہو اور جیسے بھی ہو دور رہو اس کی نظروں سے اتنا پرانا ہے کہ یہ رشتہ پھر سے نیا بھی ہو سکتا ہے جیسے سب طوفان مری سانسوں سے بندھے ہوں مجھ میں چھپے ہوں دل میں کسی ڈر کے آتے ہی زور ہوا کا بڑھ جاتا ہے میں تو فسردہ ہوں ہی لیکن اشک رقیب کی آنکھ میں بھی ہیں ایک محاذ پہ ہارے ہیں ہم یہ رشتہ کیا کم رشتہ ہے رنگ میں ہیں سارے گھر والے کھنک رہے ہیں چائے کے پیالے دنیا جاگ چکی ہے لیکن اپنا سویرا نہیں ہوا ہے
English rendering
koī kuchh bhī kahtā rahe sab ḳhāmoshī se sun letā hai us ne bhī ab gahrī gahrī sāñseñ lenā siikh liyā hai pīchhe haTnā to chāhā thā par aise bhī nahīñ chāhā thā apnī taraf baḌhne ke liye bhī us kī taraf chalnā paḌtā hai jab tak ho aur jaise bhī ho duur raho us kī nazroñ se itnā purānā hai ki ye rishta phir se nayā bhī ho saktā hai jaise sab tūfān mirī sāñsoñ se bañdhe hoñ mujh meñ chhupe hoñ dil meñ kisī Dar ke aate hī zor havā kā baḌh jaatā hai maiñ to fasurda huuñ hī lekin ashk raqīb kī aañkh meñ bhī haiñ ek mahāz pe haare haiñ ham ye rishta kyā kam rishta hai rañg meñ haiñ saare ghar vaale khanak rahe haiñ chaa.e ke pyāle duniyā jaag chukī hai lekin apnā saverā nahīñ huā hai